har taraf jabr hai dhoka hai riya-kari hai
har taraf jabr hai dhoka hai riyā-kārī hai
ab jidhar dekhiye jhūToñ kī parastārī hai
is meñ chāhat hai na raġhbat na vafādārī hai
ye koī 'ishq nahīñ hai ye adākārī hai
phir mulāqāt kā tūfān uThā hai dil meñ
phir se ik baar bichhaḌ jaane kī tayyārī hai
bolne vāloñ kā kyā hashr huā dekhā hai
ab ke ḳhāmosh hī rahne meñ samajhdārī hai
roz zindān kī dīvār pe likhtā hai koī
haa.e tanhā.ī salāsil se kahīñ bhārī hai
apne me'yār se nīche maiñ bhalā kyoñ aa.uuñ
tum jise zo'm samajhte ho vo ḳhuddārī hai
ḳhāna-e-dil meñ kiyā kartā hai mātam 'az.har'
koī to hai ki jo masrūf-e-‘azā-dārī hai
har taraf jabr hai dhoka hai riya-kari hai
ab jidhar dekhiye jhuTon ki parastari hai
is mein chahat hai na raghbat na wafadari hai
ye koi 'ishq nahin hai ye adakari hai
phir mulaqat ka tufan uTha hai dil mein
phir se ek bar bichhaD jaane ki tayyari hai
bolne walon ka kya hashr hua dekha hai
ab ke KHamosh hi rahne mein samajhdari hai
roz zindan ki diwar pe likhta hai koi
hae tanhai salasil se kahin bhaari hai
apne me'yar se niche main bhala kyon aaun
tum jise zo'm samajhte ho wo KHuddari hai
KHana-e-dil mein kiya karta hai matam 'azhar'
koi to hai ki jo masruf-e-‘aza-dari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.