har taraf jalwa-e-farozan hai
har taraf jalva-e-farozāñ hai
sahn-e-hastī meñ ik charāġhāñ hai
husn hī husn hai nigāhoñ meñ
zarra zarra guhar-badāmāñ hai
phuul to khil rahe haiñ gulshan meñ
apnī qismat hai apnā dāmāñ hai
ai vafā-nā-shanās vaqt batā
aaj phir kis se ahd-o-paimāñ hai
zindagī se janam kā saath mirā
zindagī mujh se kyoñ gurezāñ hai
aaj mausam hasīñ hai jān-e-bahār
aaj chaliye ki bād-o-bārāñ hai
maujzan ek qulzum-e-ḳhūñ hai
Duubī Duubī sī nabz-e-daurāñ hai
saañs lenā nasīb hai mujh ko
zindagī pe bhī terā ehsāñ hai
jis ko insāniyat se nafrat hai
ahd-e-hāzir ye terā insāñ hai
jis kī takmīl aaj tak na huī
maiñ huuñ aur mere dil kā armāñ hai
'faiz' ko pūchhte raho yaaro
sunte haiñ ik ajiib insāñ hai
har taraf jalwa-e-farozan hai
sahn-e-hasti mein ek charaghan hai
husn hi husn hai nigahon mein
zarra zarra guhar-badaman hai
phul to khil rahe hain gulshan mein
apni qismat hai apna daman hai
ai wafa-na-shanas waqt bata
aaj phir kis se ahd-o-paiman hai
zindagi se janam ka sath mera
zindagi mujh se kyon gurezan hai
aaj mausam hasin hai jaan-e-bahaar
aaj chaliye ki baad-o-baran hai
maujzan ek qulzum-e-KHun hai
Dubi Dubi si nabz-e-dauran hai
sans lena nasib hai mujh ko
zindagi pe bhi tera ehsan hai
jis ko insaniyat se nafrat hai
ahd-e-hazir ye tera insan hai
jis ki takmil aaj tak na hui
main hun aur mere dil ka arman hai
'faiz' ko puchhte raho yaro
sunte hain ek ajib insan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.