har taraf lau hai yahan purwaiyon mein chal kahin
har taraf lau hai yahāñ purvā.iyoñ meñ chal kahīñ
jal na jaa.e tere nāzuk jism kā sandal kahīñ
muntazir haiñ dhuup kā tohfa liye sab rāste
aao chal kar baiTh leñ saa.e meñ pal do pal kahīñ
giit kuchh maddham suroñ meñ gaa.eñ maujoñ se kaho
ho na jaa.eñ sub.h tak māñjhī ke baazū shal kahīñ
itne lambe haiñ samundar se yahāñ tak fāsle
aisā lagtā hai ki thak kar ruk ga.e bādal kahīñ
yuuñ nahīñ aate kabhī ye āñdhiyoñ ke qāfile
rah ga.ī hogī daraḳhtoñ meñ koī kopal kahīñ
aaj kī shab mujh ko sonā hai havāoñ se kaho
loriyāñ gaatī raheñ bajtā rahe pīpal kahīñ
dekhiye 'kāzim' zarā ye mausamoñ kī dhuup chhāñv
haiñ kahīñ pyāsī zamīneñ aur hai jal-thal kahīñ
har taraf lau hai yahan purwaiyon mein chal kahin
jal na jae tere nazuk jism ka sandal kahin
muntazir hain dhup ka tohfa liye sab raste
aao chal kar baiTh len sae mein pal do pal kahin
git kuchh maddham suron mein gaen maujon se kaho
ho na jaen subh tak manjhi ke bazu shal kahin
itne lambe hain samundar se yahan tak fasle
aisa lagta hai ki thak kar ruk gae baadal kahin
yun nahin aate kabhi ye aandhiyon ke qafile
rah gai hogi daraKHton mein koi kopal kahin
aaj ki shab mujh ko sona hai hawaon se kaho
loriyan gati rahen bajta rahe pipal kahin
dekhiye 'kazim' zara ye mausamon ki dhup chhanw
hain kahin pyasi zaminen aur hai jal-thal kahin
- Book : کتاب سنگ (Pg. 33)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.