har taraf sine mein uski hi khaTak rahti hai
har taraf siine meñ us kī hī khaTak rahtī hai
jo shafaq-rang kahīñ zer-e-falak rahtī hai
puurī ho jaatī agar koī kahānī hotī
ye mohabbat hai miyāñ is meñ kasak rahtī hai
ab samajh aa.ī ḳhushī kyā hai dil-e-afsurda
ye na ho to kahāñ chehroñ pe chamak rahtī hai
us ke aane kā pata hī nahīñ chaltā koī
jis ke jaane kī ḳhabar der talak rahtī hai
jitnā bhī dekhūñ use aise mujhe lagtā hai
dekhne vaalī abhī ek jhalak rahtī hai
jab kabhī us kā tasavvur maiñ karūñ to us kī
jaane kab tak mirī sāñsoñ meñ mahak rahtī hai
dastakeñ detā hai andar se musalsal koī
ye jo dhak dhak mire siine meñ dhamak rahtī hai
us ke milne kā nahīñ hai koī imkān magar
muntazir ab bhī mire dil kī saḌak rahtī hai
mire atrāf koī raqs meñ rahtā hai 'zahūr'
ghuñghruoñ kī mire kānoñ meñ khanak rahtī hai
har taraf sine mein us ki hi khaTak rahti hai
jo shafaq-rang kahin zer-e-falak rahti hai
puri ho jati agar koi kahani hoti
ye mohabbat hai miyan is mein kasak rahti hai
ab samajh aai KHushi kya hai dil-e-afsurda
ye na ho to kahan chehron pe chamak rahti hai
us ke aane ka pata hi nahin chalta koi
jis ke jaane ki KHabar der talak rahti hai
jitna bhi dekhun use aise mujhe lagta hai
dekhne wali abhi ek jhalak rahti hai
jab kabhi us ka tasawwur main karun to us ki
jaane kab tak meri sanson mein mahak rahti hai
dastaken deta hai andar se musalsal koi
ye jo dhak dhak mere sine mein dhamak rahti hai
us ke milne ka nahin hai koi imkan magar
muntazir ab bhi mere dil ki saDak rahti hai
mere atraf koi raqs mein rahta hai 'zahur'
ghunghruon ki mere kanon mein khanak rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.