har taraf tera aaina dekha
har taraf terā aa.ina dekhā
husn qudrat kā be-bahā dekhā
apnī āñkhoñ meñ vo nazar aayā
ham ne jab jab bhī aa.ina dekhā
mere ehsās meñ nihāñ hai tū
ḳhvāb meñ tujh ko jā-ba-jā dekhā
thak ga.ī huuñ akele chal chal kar
dil huā ḳhush jo qāfila dekhā
muntazir huuñ tirī zamāne se
ik diyā ban ke rāsta dekhā
ishq kī intihā pe aa kar maiñ
sochtī huuñ ki tujh meñ kyā dekhā
har taraf tera aaina dekha
husn qudrat ka be-baha dekha
apni aankhon mein wo nazar aaya
hum ne jab jab bhi aaina dekha
mere ehsas mein nihan hai tu
KHwab mein tujh ko ja-ba-ja dekha
thak gai hun akele chal chal kar
dil hua KHush jo qafila dekha
muntazir hun teri zamane se
ek diya ban ke rasta dekha
ishq ki intiha pe aa kar main
sochti hun ki tujh mein kya dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.