har taraf ujli dhanak mausam hua hai barf barf
har taraf ujlī dhanak mausam huā hai barf barf
naddī-nāle hī nahīñ sahrā banā hai barf barf
uḌ rahe haiñ ruuī ke gaale fazāoñ meñ asiir
hai lahū bhī munjamid chehra huā hai barf barf
ik hasīna kī siyah-zulfoñ pe jhālā yuuñ lage
naag kaalā chhag ke jaise pī gayā hai barf barf
muskurānā aise mausam meñ kahāñ āsān hai
hoñT niile paḌ ga.e us pe havā hai barf barf
barf kī chādar hai yā phir barf kā hai regzār
dekhtā huuñ jis taraf 'ālam huā hai barf barf
jab kabhī 'hassās' barfānī havā tan par lagī
yaad aa.ī gaañv kī aañsū piyā hai barf barf
har taraf ujli dhanak mausam hua hai barf barf
naddi-nale hi nahin sahra bana hai barf barf
uD rahe hain rui ke gale fazaon mein asir
hai lahu bhi munjamid chehra hua hai barf barf
ek hasina ki siyah-zulfon pe jhaala yun lage
nag kala chhag ke jaise pi gaya hai barf barf
muskurana aise mausam mein kahan aasan hai
honT nile paD gae us pe hawa hai barf barf
barf ki chadar hai ya phir barf ka hai regzar
dekhta hun jis taraf 'alam hua hai barf barf
jab kabhi 'hassas' barfani hawa tan par lagi
yaad aai ganw ki aansu piya hai barf barf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.