har taraf uske sunahre lafz hain phaile hue
har taraf us ke sunahre lafz haiñ phaile hue
aur ham kājal kī ik tahrīr meñ Duube hue
chāñdnī ke shahr meñ hamrāh thā vo bhī magar
duur tak ḳhāmoshiyoñ ke saaz the bajte hue
hañs rahā thā vo harī rut kī suhānī chhāñv meñ
daf'atan har ik shajar ke pairahan maile hue
aaj ik mā'sūm bachchī kī zabāñ khīñchī ga.ī
merī bastī meñ añdhere aur bhī gahre hue
har galī meñ thiiñ siyah parchhā.iyoñ kī yūrisheñ
shab ka.ī gūñge malak har chhat pe the baiThe hue
sab adā.eñ vaqt kī vo jāntā hai is liye
TaaT ke nīche sunahrā taaj hai rakkhe hue
soup ke daane kabūtar chug rahā thā aur vo
sahn ko mahkā rahī thī sunnateñ paḌhte hue
raat 'ambar' kahkashāñ se duub ye kahne lagī
chhāñv meñ merī hazāroñ chāñd haiñ so.e hue
har taraf us ke sunahre lafz hain phaile hue
aur hum kajal ki ek tahrir mein Dube hue
chandni ke shahr mein hamrah tha wo bhi magar
dur tak KHamoshiyon ke saz the bajte hue
hans raha tha wo hari rut ki suhani chhanw mein
daf'atan har ek shajar ke pairahan maile hue
aaj ek ma'sum bachchi ki zaban khinchi gai
meri basti mein andhere aur bhi gahre hue
har gali mein thin siyah parchhaiyon ki yurishen
shab kai gunge malak har chhat pe the baiThe hue
sab adaen waqt ki wo jaanta hai is liye
TaT ke niche sunahra taj hai rakkhe hue
soup ke dane kabutar chug raha tha aur wo
sahn ko mahka rahi thi sunnaten paDhte hue
raat 'ambar' kahkashan se dub ye kahne lagi
chhanw mein meri hazaron chand hain soe hue
- Book : doob (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.