har tarah ke jhuTh se inkar hona chahiye
har tarah ke jhūTh se inkār honā chāhiye
baat sachchī hai to phir iqrār honā chāhiye
sar jhukā denā kisī ke sāmne kaafī nahīñ
dil 'ibādat ke liye tayyār honā chāhiye
saarī duniyā kī nigāheñ dekhtī haiñ aap ko
aap ke qad se baḌā kirdār honā chāhiye
aap apnī har adā ko chāhte haiñ bechnā
phir tamāsha bhī sar-e-bāzār honā chāhiye
ye sahī hai dil hamārā mom jaisā ho magar
apne tevar se hameñ talvār honā chāhiye
har tarah ke jhuTh se inkar hona chahiye
baat sachchi hai to phir iqrar hona chahiye
sar jhuka dena kisi ke samne kafi nahin
dil 'ibaadat ke liye tayyar hona chahiye
sari duniya ki nigahen dekhti hain aap ko
aap ke qad se baDa kirdar hona chahiye
aap apni har ada ko chahte hain bechna
phir tamasha bhi sar-e-bazar hona chahiye
ye sahi hai dil hamara mom jaisa ho magar
apne tewar se hamein talwar hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.