har tazkira kitab mein tafsil se hua
har tazkira kitāb meñ tafsīl se huā
merā safar shurūa hī takmīl se huā
is ḳhāk-dāñ pe phailne vaalā hai ek roz
jis qahr kā zuhūr kabhī niil se huā
har samt ghūmtī thī yahāñ raat jā-ba-jā
phir din tumhāre chehra-e-qindīl se huā
ugte haiñ sāhiloñ pe kisī phuul kī tarah
kaisā ye ishq tā.eroñ ko jhiil se huā
ye jo tumheñ ḳharāb nazar aa rahā huuñ maiñ
paidā ye mas.ala bhī kisī Dhiil se huā
ab dekhiye utartā hai kyā āsmān se
ik faisla to pahle abābīl se huā
har tazkira kitab mein tafsil se hua
mera safar shurua hi takmil se hua
is KHak-dan pe phailne wala hai ek roz
jis qahr ka zuhur kabhi nil se hua
har samt ghumti thi yahan raat ja-ba-ja
phir din tumhaare chehra-e-qindil se hua
ugte hain sahilon pe kisi phul ki tarah
kaisa ye ishq taeron ko jhil se hua
ye jo tumhein KHarab nazar aa raha hun main
paida ye masala bhi kisi Dhil se hua
ab dekhiye utarta hai kya aasman se
ek faisla to pahle ababil se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.