har uljhan se agar nikla nahin wo
har uljhan se agar niklā nahīñ vo
bichhaḌ jaa.e na ḳhud se bhī kahīñ vo
nadī aur pyaas donoñ darmiyāñ haiñ
jahāñ huuñ muddatoñ se maiñ vahīñ vo
nasha kaisā hai us ke dekhne meñ
surāhī vo nahīñ sāġhar nahīñ vo
use kyoñ naaz hai zor-e-numū par
maiñ bādal huuñ agar bhīgī zamīñ vo
maiñ jā saktā huuñ us ko chhoḌ kar bhī
abhī is baat ko samjhā nahīñ vo
sitāro kyoñ larazte ho abhī se
abhī to raqs ko uTThā nahīñ vo
achānak hī uThegā koī tūfāñ
kahīñ hoñge 'nafīs' aap aur kahīñ vo
har uljhan se agar nikla nahin wo
bichhaD jae na KHud se bhi kahin wo
nadi aur pyas donon darmiyan hain
jahan hun muddaton se main wahin wo
nasha kaisa hai us ke dekhne mein
surahi wo nahin saghar nahin wo
use kyon naz hai zor-e-numu par
main baadal hun agar bhigi zamin wo
main ja sakta hun us ko chhoD kar bhi
abhi is baat ko samjha nahin wo
sitaro kyon larazte ho abhi se
abhi to raqs ko uTTha nahin wo
achanak hi uThega koi tufan
kahin honge 'nafis' aap aur kahin wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.