har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye
har vaqt fikr-e-marg-e-ġharībāna chāhiye
sehhat kā ek pahlū marīzāna chāhiye
duniyā-e-be-tarīq meñ jis samt bhī chalo
raste meñ ik salām rafīqāna chāhiye
āñkhoñ meñ umDe ruuh kī nazdīkiyoñ ke saath
aisā bhī ek duur kā yārāna chāhiye
kyā pastiyoñ kī zillateñ kyā azmatoñ ke fauz
apne liye azaab judāgāna chāhiye
ab dard-e-shush bhī saañs kī koshish meñ hai sharīk
ab kyā ho ab to niiñd ko aa jaanā chāhiye
raushan tarā.iyoñ se utartī havā meñ aaj
do chaar gaam laġhzish-e-mastāna chāhiye
'amjad' in ashk-bār zamānoñ ke vāste
ik sā.at-e-bahār kā nazrāna chāhiye
har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye
sehhat ka ek pahlu marizana chahiye
duniya-e-be-tariq mein jis samt bhi chalo
raste mein ek salam rafiqana chahiye
aankhon mein umDe ruh ki nazdikiyon ke sath
aisa bhi ek dur ka yarana chahiye
kya pastiyon ki zillaten kya azmaton ke fauz
apne liye azab judagana chahiye
ab dard-e-shush bhi sans ki koshish mein hai sharik
ab kya ho ab to nind ko aa jaana chahiye
raushan taraiyon se utarti hawa mein aaj
do chaar gam laghzish-e-mastana chahiye
'amjad' in ashk-bar zamanon ke waste
ek saat-e-bahaar ka nazrana chahiye
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 717)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.