har wasile ko zamane se juda sochte hain
har vasīle ko zamāne se judā sochte haiñ
ye na.ī nasl ke bachche haiñ nayā sochte haiñ
itnī fursat hī nahīñ detī ġharībī ham ko
ham kahāñ kuchh bhī kamāne ke sivā sochte haiñ
ye ta'alluq bhī nibhāte haiñ to ġhairoñ jaisā
mere apne hī mirā ab to burā sochte haiñ
ek muddat se qazā kar ke namāzeñ ham log
kyoñ mukammal hī nahīñ hotī du'ā sochte haiñ
khā gayā merī mohabbat ko bhī rutba un kā
ḳhair maañ baap to achchhā hī sadā sochte hai
har wasile ko zamane se juda sochte hain
ye nai nasl ke bachche hain naya sochte hain
itni fursat hi nahin deti gharibi hum ko
hum kahan kuchh bhi kamane ke siwa sochte hain
ye ta'alluq bhi nibhate hain to ghairon jaisa
mere apne hi mera ab to bura sochte hain
ek muddat se qaza kar ke namazen hum log
kyon mukammal hi nahin hoti du'a sochte hain
kha gaya meri mohabbat ko bhi rutba un ka
KHair man bap to achchha hi sada sochte hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.