har wo hangama na-gahan guzra
har vo hañgāma nā-gahāñ guzrā
do diloñ ke jo darmiyāñ guzrā
tum kisī ke nahīñ zamāne meñ
ham ko aisā bhī ik gumāñ guzrā
jo mohabbat meñ ham pe guzrā hai
tum pe vo vaqt abhī kahāñ guzrā
naqsh-e-pā rāsta dikhāte haiñ
kis kī manzil se kārvāñ guzrā
dil kī be-tābiyoñ pe vo chup the
merā hañsnā unheñ garāñ guzrā
kyā huā gulistāñ meñ kyā ma.alūm
is taraf se bhī kuchh dhuāñ guzrā
zaḳhm-e-dil muskurā rahe haiñ 'shajī.a'
shāyad ab mausam-e-ḳhizāñ guzrā
har wo hangama na-gahan guzra
do dilon ke jo darmiyan guzra
tum kisi ke nahin zamane mein
hum ko aisa bhi ek guman guzra
jo mohabbat mein hum pe guzra hai
tum pe wo waqt abhi kahan guzra
naqsh-e-pa rasta dikhate hain
kis ki manzil se karwan guzra
dil ki be-tabiyon pe wo chup the
mera hansna unhen garan guzra
kya hua gulistan mein kya malum
is taraf se bhi kuchh dhuan guzra
zaKHm-e-dil muskura rahe hain 'shajia'
shayad ab mausam-e-KHizan guzra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.