har zaban mein har zaban par ek hi afsana hai
har zaban mein har zaban par ek hi afsana hai
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
har zabāñ meñ har zabāñ par ek hī afsāna hai
kuchh to hai jo saarā aalam aap kā dīvāna hai
mubtalā vo ḳhud bhī hai jo zāhiran begāna hai
jis kā ġham ahl-e-nazar kī ishrat-e-mastāna hai
e.atibār-e-mā-sivā is raaz se begāna hai
ranj-e-furqat iztirāb-e-husn kā harjāna hai
bā.is-e-tauq-e-asīrī daam hai yā daana hai
us se pūchhā chāhiye jo hosh kā dīvāna hai
qais duniyā kī nazar meñ aaj bhī dīvāna hai
nāz-bardārī kā kitnā muḳhtasar afsāna hai
āstāñ-bosī kī lazzat asvad-e-ka.aba se pūchh
sang samjhā hai jise tū āriz-e-jānāna hai
aap hī kī yaad se dil shaad hai ābād hai
aap jis dil meñ nahīñ vo dil nahīñ vīrāna hai
sāqiyā is bazm-e-fānī meñ vahī hai ḳhush-nasīb
rū-ba-rū jis ke subū hai haath meñ paimāna hai
har zaban mein har zaban par ek hi afsana hai
kuchh to hai jo sara aalam aap ka diwana hai
mubtala wo KHud bhi hai jo zahiran begana hai
jis ka gham ahl-e-nazar ki ishrat-e-mastana hai
eatibar-e-ma-siwa is raaz se begana hai
ranj-e-furqat iztirab-e-husn ka harjaana hai
bais-e-tauq-e-asiri dam hai ya dana hai
us se puchha chahiye jo hosh ka diwana hai
qais duniya ki nazar mein aaj bhi diwana hai
naz-bardari ka kitna muKHtasar afsana hai
aastan-bosi ki lazzat aswad-e-kaba se puchh
sang samjha hai jise tu aariz-e-jaanana hai
aap hi ki yaad se dil shad hai aabaad hai
aap jis dil mein nahin wo dil nahin virana hai
saqiya is bazm-e-fani mein wahi hai KHush-nasib
ru-ba-ru jis ke subu hai hath mein paimana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.