har zaKHm ho gaya hai numayan tere liye
har zaḳhm ho gayā hai numāyāñ tire liye
goyā ki ho rahā hai charāġhāñ tire liye
maiñ ḳhud hī mubtalā-e-ġham-e-lā-'ilāj huuñ
lā.ūñ kahāñ se dard kā darmāñ tire liye
dāman meñ apne ḳhaar sajāte ye soch kar
gul haiñ nasīb meñ na gulistāñ tire liye
aa kar hudūd-e-shahr se bāhar bhī dekh leñ
jannat banā diye haiñ bayābāñ tire liye
sab kuchh nisār rāh-e-mohabbat meñ kar diyā
ab mere paas tohfa-e-jāñ hai tire liye
har zaKHm ho gaya hai numayan tere liye
goya ki ho raha hai charaghan tere liye
main KHud hi mubtala-e-gham-e-la-'ilaj hun
laun kahan se dard ka darman tere liye
daman mein apne KHar sajate ye soch kar
gul hain nasib mein na gulistan tere liye
aa kar hudud-e-shahr se bahar bhi dekh len
jannat bana diye hain bayaban tere liye
sab kuchh nisar rah-e-mohabbat mein kar diya
ab mere pas tohfa-e-jaan hai tere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.