har zarra chaman-zar ki zinat ka sabab hai
har zarra chaman-zār kī zīnat kā sabab hai
mahfil meñ chaman-zār kī har shai kā adab hai
ik umr ba-dastūr guzar jaa.e to behtar
go dil meñ ba-dastūr Thaharne kī talab hai
kuchh yuuñ hai muqaddar kī haqīqat ki jahāñ meñ
zulmat hai kahīñ din meñ kahīñ nuur kī shab hai
har chiiz meñ ta.amīl ḳhirad kī na ho lekin
har chiiz pe us chiiz kā da.avā to ajab hai
rakhne ko tabaddul kā bharam muḌ ke jo dekhā
vaisī hī thī duniyā mirī jaisī ki vo ab hai
duniyā na ho firdaus par itnā to hai 'dānish'
jaisī bhī hai duniyā mirī hastī kā sabab hai
har zarra chaman-zar ki zinat ka sabab hai
mahfil mein chaman-zar ki har shai ka adab hai
ek umr ba-dastur guzar jae to behtar
go dil mein ba-dastur Thaharne ki talab hai
kuchh yun hai muqaddar ki haqiqat ki jahan mein
zulmat hai kahin din mein kahin nur ki shab hai
har chiz mein tamil KHirad ki na ho lekin
har chiz pe us chiz ka dawa to ajab hai
rakhne ko tabaddul ka bharam muD ke jo dekha
waisi hi thi duniya meri jaisi ki wo ab hai
duniya na ho firdaus par itna to hai 'danish'
jaisi bhi hai duniya meri hasti ka sabab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.