har zarra-e-alam muztar hai duniya mein sukun ka nam nahin
har zarra-e-alam muztar hai duniya mein sukun ka nam nahin
Wali Kakoravi
MORE BYWali Kakoravi
har zarra-e-ālam muztar hai duniyā meñ sukūñ kā naam nahīñ
hai kār-gah-e-sad-sa.ī-o-amal ye zāviya-e-ārām nahīñ
kar azm ko rāsiḳh dil ko qavī ab vaqt-e-ummīd-e-ḳhām nahīñ
ye lāla-o-gul kī bazm nahīñ ye mahfil-e-daur-e-jām nahīñ
ik ālam-e-jiddat taarī hai har aan taġhayyur jaarī hai
ab sub.h yahāñ vo sub.h nahīñ ab shaam yahāñ vo shaam nahīñ
hastī kī haqīqat kyā kahiye paikār-o-kashākash jehd-o-junūñ
ab vaqt-e-sukūn-e-ḳhvāb nahīñ ab ishrat kā hangām nahīñ
jumbish se numūd-e-hastī hai aur maut jumūd-e-hastī hai
ik mauj-e-ravāñ huuñ dariyā meñ sāhil se mujhe kuchh kaam nahīñ
tajdīd-e-tamanna zauq-e-amal ehsās-e-ḳhudī pindār-e-yaqīñ
jis meñ ye anāsir hoñ na baham maz.hab hai vo kufr islām nahīñ
vāmāñda raheñge ahal-e-shak aur jā pahuñchegā manzil tak
jo zauq-e-yaqīñ kā hāmil hai aur mo'taqid-e-auhām nahīñ
haq ziist kā us insāñ ko nahīñ jo jehd-e-musalsal kar na sake
jab tak na ho paiham gardish meñ vo bazm-e-tarab kā jaam nahīñ
ash.ār haiñ ye pur-josh 'valī' yā naġhme haiñ bedārī ke
iqbāl kā paiġhām un ko kaho tagore kā ye paiġhām nahīñ
har zarra-e-alam muztar hai duniya mein sukun ka nam nahin
hai kar-gah-e-sad-sai-o-amal ye zawiya-e-aram nahin
kar azm ko rasiKH dil ko qawi ab waqt-e-ummid-e-KHam nahin
ye lala-o-gul ki bazm nahin ye mahfil-e-daur-e-jam nahin
ek aalam-e-jiddat tari hai har aan taghayyur jari hai
ab subh yahan wo subh nahin ab sham yahan wo sham nahin
hasti ki haqiqat kya kahiye paikar-o-kashakash jehd-o-junun
ab waqt-e-sukun-e-KHwab nahin ab ishrat ka hangam nahin
jumbish se numud-e-hasti hai aur maut jumud-e-hasti hai
ek mauj-e-rawan hun dariya mein sahil se mujhe kuchh kaam nahin
tajdid-e-tamanna zauq-e-amal ehsas-e-KHudi pindar-e-yaqin
jis mein ye anasir hon na baham mazhab hai wo kufr islam nahin
wamanda rahenge ahal-e-shak aur ja pahunchega manzil tak
jo zauq-e-yaqin ka hamil hai aur mo'taqid-e-auham nahin
haq zist ka us insan ko nahin jo jehd-e-musalsal kar na sake
jab tak na ho paiham gardish mein wo bazm-e-tarab ka jam nahin
ashaar hain ye pur-josh 'wali' ya naghme hain bedari ke
iqbaal ka paigham un ko kaho tagore ka ye paigham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.