har zi-hayat ka hai sabab jo hayat ka
har zī-hayāt kā hai sabab jo hayāt kā
nikle hai jī hī us ke liye kā.enāt kā
bikhrī hai zulf us ruḳh-e-ālam-faroz par
varna banāo hove na din aur raat kā
dar-parda vo hī mā'nī muqavvam na hoñ agar
sūrat na pakḌe kaam falak ke sabāt kā
haiñ mustahīl ḳhaak se ajzā-e-nau-ḳhatāñ
kyā sahl hai zamīñ se nikalnā nabāt kā
mustahlak us ke 'ishq ke jāneñ haiñ qadar-e-marg
īsā-o-ḳhizr ko hai maza kab vafāt kā
ashjār hoveñ ḳhāma-o-āb-e-siyah-behār
likhnā na to bhī ho sake us kī sifāt kā
us ke faroġh-e-husn se jhumke hai sab meñ nuur
sham-e-haram ho yā ki diyā somnāt kā
bizzāt hai jahāñ meñ vo maujūd har jagah
hai diid chashm-e-dil ke khule ain zaat kā
har safhe meñ hai mahv-e-kalām apnā das jagah
mus.haf ko khol dekh Tak andāz baat kā
ham muzniboñ meñ sirf karam se hai guftugū
mazkūr zikr yaañ nahīñ saum-o-salāt kā
kyā 'mīr' tujh ko nāma-syāhī kā fikr hai
ḳhatm-e-rusul sā shaḳhs hai zāmin najāt kā
har zi-hayat ka hai sabab jo hayat ka
nikle hai ji hi us ke liye kaenat ka
bikhri hai zulf us ruKH-e-alam-faroz par
warna banao howe na din aur raat ka
dar-parda wo hi ma'ni muqawwam na hon agar
surat na pakDe kaam falak ke sabaat ka
hain mustahil KHak se ajza-e-nau-KHatan
kya sahl hai zamin se nikalna nabaat ka
mustahlak us ke 'ishq ke jaanen hain qadar-e-marg
isa-o-KHizr ko hai maza kab wafat ka
ashjar howen KHama-o-ab-e-siyah-behaar
likhna na to bhi ho sake us ki sifat ka
us ke farogh-e-husn se jhumke hai sab mein nur
sham-e-haram ho ya ki diya somnat ka
bizzat hai jahan mein wo maujud har jagah
hai did chashm-e-dil ke khule ain zat ka
har safhe mein hai mahw-e-kalam apna das jagah
mushaf ko khol dekh Tak andaz baat ka
hum muznibon mein sirf karam se hai guftugu
mazkur zikr yan nahin saum-o-salat ka
kya 'mir' tujh ko nama-syahi ka fikr hai
KHatm-e-rusul sa shaKHs hai zamin najat ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0664
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.