har zulm tera yaad hai bhula to nahin hun
har zulm tirā yaad hai bhūlā to nahīñ huuñ
ai va.ada-farāmosh maiñ tujh sā to nahīñ huuñ
ai vaqt miTānā mujhe āsān nahīñ hai
insāñ huuñ koī naqsh-e-kaf-e-pā to nahīñ huuñ
chup-chāp sahī maslahatan vaqt ke hāthoñ
majbūr sahī vaqt se haarā to nahīñ huuñ
ye din to mujhe un ke taġhāful ne dikhā.e
maiñ gardish-e-daurāñ tirā maarā to nahīñ huuñ
un ke liye laḌ jā.ūñgā taqdīr maiñ tujh se
hālāñki kabhī tujh se maiñ uljhā to nahīñ huuñ
sāhil pe khaḌe ho tumheñ kyā ġham chale jaanā
maiñ Duub rahā huuñ abhī Duubā to nahīñ huuñ
kyoñ shor bapā hai zarā dekho to nikal kar
maiñ us kī galī se abhī guzrā to nahīñ huuñ
'muztar' mujhe kyoñ dekhtā rahtā hai zamāna
dīvāna sahī un kā tamāshā to nahīñ huuñ
har zulm tera yaad hai bhula to nahin hun
ai wada-faramosh main tujh sa to nahin hun
ai waqt miTana mujhe aasan nahin hai
insan hun koi naqsh-e-kaf-e-pa to nahin hun
chup-chap sahi maslahatan waqt ke hathon
majbur sahi waqt se haara to nahin hun
ye din to mujhe un ke taghaful ne dikhae
main gardish-e-dauran tera mara to nahin hun
un ke liye laD jaunga taqdir main tujh se
haalanki kabhi tujh se main uljha to nahin hun
sahil pe khaDe ho tumhein kya gham chale jaana
main Dub raha hun abhi Duba to nahin hun
kyon shor bapa hai zara dekho to nikal kar
main us ki gali se abhi guzra to nahin hun
'muztar' mujhe kyon dekhta rahta hai zamana
diwana sahi un ka tamasha to nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.