Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera

Khaleel Rampuri

hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera

Khaleel Rampuri

MORE BYKhaleel Rampuri

    harā-bharā thā kabhī jhaaḌ badan merā

    ki ā.inoñ meñ jhalaktā thā bāñkpan merā

    charāġh le ke mujhe DhūñDne nikaltā thā

    mire baġhair na rahtā thā ham-suḳhan merā

    siyāhiyoñ ke bhañvar se nikal ke aayā huuñ

    dhulā rahī hai ujāloñ se muñh kiran merā

    siyāh phuul khilā dhuup muñDeroñ par

    havā meñ Taañg diyā kis ne pairahan merā

    maiñ reg-zār pe likkhī huī 'ibārat huuñ

    havā chalegī to uḌ jā.egā badan merā

    balā rahī hai mujhe barf se Dhakī choTī

    paḌā huā hai chaTānoñ ke ghar kafan merā

    shumār hone lage motiyoñ meñ kankar bhī

    'ḳhalīl' kaam to aayā kisī ke fan merā

    hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera

    ki aainon mein jhalakta tha bankpan mera

    charagh le ke mujhe DhunDne nikalta tha

    mere baghair na rahta tha ham-suKHan mera

    siyahiyon ke bhanwar se nikal ke aaya hun

    dhula rahi hai ujalon se munh kiran mera

    siyah phul khila dhup ki munDeron par

    hawa mein Tang diya kis ne pairahan mera

    main reg-zar pe likkhi hui 'ibarat hun

    hawa chalegi to uD jaega badan mera

    bala rahi hai mujhe barf se Dhaki choTi

    paDa hua hai chaTanon ke ghar kafan mera

    shumar hone lage motiyon mein kankar bhi

    'KHalil' kaam to aaya kisi ke fan mera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now