haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai
haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai
Ehtisham Bachhrayuni
MORE BYEhtisham Bachhrayuni
haram kī raah meñ saaqī kā ghar bhī aatā hai
safar meñ lamha-e-tar ki safar bhī aatā hai
tujhe ki parda-nashīñ ye hunar bhī aatā hai
nazar bhī aatā nahīñ aur nazar bhī aatā hai
dabī dabī sī zabāñ meñ ye pūchhnā qāsid
kabhī ḳhayāl meñ āshufta-sar bhī aatā hai
tumhārī baat hai kuchh aur yuuñ to aane ko
ġharīb-ḳhāne pe aksar qamar bhī aatā hai
ġhamoñ kī shaam hai be-shak magar udaas na ho
ba-shakl-e-shām payām-e-sahar bhī aatā hai
mirī tabāhī kā baa.is mirā nasīb sahī
magar ye harf tirī zaat par bhī aatā hai
javāb-e-ḳhat kī to ummīd 'ehtishām' kujā
ye dekh lauT ke paiġhāmbar bhī aatā hai
haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai
safar mein lamha-e-tar ki safar bhi aata hai
tujhe ki parda-nashin ye hunar bhi aata hai
nazar bhi aata nahin aur nazar bhi aata hai
dabi dabi si zaban mein ye puchhna qasid
kabhi KHayal mein aashufta-sar bhi aata hai
tumhaari baat hai kuchh aur yun to aane ko
gharib-KHane pe aksar qamar bhi aata hai
ghamon ki sham hai be-shak magar udas na ho
ba-shakl-e-sham payam-e-sahar bhi aata hai
meri tabahi ka bais mera nasib sahi
magar ye harf teri zat par bhi aata hai
jawab-e-KHat ki to ummid 'ehtisham' kuja
ye dekh lauT ke paighambar bhi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.