haram ki rah mein sunte hain ek but-KHana aata hai
haram kī raah meñ sunte haiñ ik but-ḳhāna aatā hai
usī manzil pe shāyad dost kā kāshāna aatā hai
ba-sū-e-mai-kada jab bhī koī mastāna aatā hai
surāhī jhūmtī hai vajd meñ paimāna aatā hai
ye hālat ho ga.ī apnī junūñ meñ in dinoñ hamdam
vahīñ manzil banātā huuñ jahāñ vīrāna aatā hai
na jaane haal kyā hogā mirī majbūr tauba kā
machal jaatā hai dil jab sāmne paimāna aatā hai
machāyā shor zanjīroñ ne yaksū ho ga.e aadā
ajab andāz se zālim tirā dīvāna aatā hai
hai dil bechain kuchh bad-zauqī-e-ahbāb se varna
'zafar' mazmūn le kar bazm meñ shāhāna aatā hai
haram ki rah mein sunte hain ek but-KHana aata hai
usi manzil pe shayad dost ka kashana aata hai
ba-su-e-mai-kada jab bhi koi mastana aata hai
surahi jhumti hai wajd mein paimana aata hai
ye haalat ho gai apni junun mein in dinon hamdam
wahin manzil banata hun jahan virana aata hai
na jaane haal kya hoga meri majbur tauba ka
machal jata hai dil jab samne paimana aata hai
machaya shor zanjiron ne yaksu ho gae aada
ajab andaz se zalim tera diwana aata hai
hai dil bechain kuchh bad-zauqi-e-ahbab se warna
'zafar' mazmun le kar bazm mein shahana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.