haram-o-dair ke manzar nahin dekhe jate
haram-o-dair ke manzar nahīñ dekhe jaate
dekhne vāloñ se patthar nahīñ dekhe jaate
surḳh-rū haiñ ki abhī paañv meñ chhāle haiñ bahut
jehd vāloñ meñ muqaddar nahīñ dekhe jaate
shauq-e-darmāñ ho to aa raushnī-e-dil le kar
zaḳhm-e-dil sham.a jalā kar nahīñ dekhe jaate
ye to insānoñ ke TuuTe hue dil haiñ saaqī
ham se TuuTe hue sāġhar nahīñ dekhe jaate
jaag uThe haiñ to kareñ fikr-e-sahar tā-ba-sahar
pyaar ke ḳhvāb mukarrar nahīñ dekhe jaate
haram-o-dair ke manzar nahin dekhe jate
dekhne walon se patthar nahin dekhe jate
surKH-ru hain ki abhi panw mein chhaale hain bahut
jehd walon mein muqaddar nahin dekhe jate
shauq-e-darman ho to aa raushni-e-dil le kar
zaKHm-e-dil shama jala kar nahin dekhe jate
ye to insanon ke TuTe hue dil hain saqi
hum se TuTe hue saghar nahin dekhe jate
jag uThe hain to karen fikr-e-sahar ta-ba-sahar
pyar ke KHwab mukarrar nahin dekhe jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.