haram-o-dair mein humne ye tamasha dekha
haram-o-dair meñ ham ne ye tamāshā dekhā
ya.anī har ghar meñ usī yaad kā jalva dekhā
ik tumheñ chāhne vaale nahīñ ai shaiḳh-e-haram
barhaman ko bhī usī shoḳh kā shaidā dekhā
kū-ba-kū chāk-garebān jo phirā karte ho
dil lagāne kā zamāne meñ natīja dekhā
na tabī.at kabhī badlī na nigāheñ un kī
ham ne har roz zamāne ko badaltā dekhā
kis liye aaj pareshāñ huā jaatā hai tū
kyā mirā zaḳhm-e-jigar tū ne masīhā dekhā
tāb-e-nazāra na thī jab to ga.e kyoñ muusā
aap ne had se guzarne kā natīja dekhā
suniye suniye ki huiiñ haiñ mirī maḳhmūr āñkheñ
aap ke sar kī qasam aap kā jalva dekhā
vaah kyā ḳhuub vo nārāz hue ruuTh ga.e
merā chehra jo dam-e-arz-e-tamanna dekhā
ham to maqtal meñ jigar thaam ke taḌpe lekin
tum ne kis tarah se bismil kā taḌapnā dekhā
josh-e-vahshat mujhe sahrā kī taraf le aaya
aur aage jo baḌhe dāman-e-dariyā dekhā
shoḳh dil shoḳh tabī.at kā hai insāñ 'sanjar'
is ko har-vaqt hasīnoñ hī pe shaidā dekhā
haram-o-dair mein hum ne ye tamasha dekha
yani har ghar mein usi yaad ka jalwa dekha
ek tumhein chahne wale nahin ai shaiKH-e-haram
barhaman ko bhi usi shoKH ka shaida dekha
ku-ba-ku chaak-gareban jo phira karte ho
dil lagane ka zamane mein natija dekha
na tabiat kabhi badli na nigahen un ki
hum ne har roz zamane ko badalta dekha
kis liye aaj pareshan hua jata hai tu
kya mera zaKHm-e-jigar tu ne masiha dekha
tab-e-nazara na thi jab to gae kyon musa
aap ne had se guzarne ka natija dekha
suniye suniye ki huin hain meri maKHmur aankhen
aap ke sar ki qasam aap ka jalwa dekha
wah kya KHub wo naraaz hue ruTh gae
mera chehra jo dam-e-arz-e-tamanna dekha
hum to maqtal mein jigar tham ke taDpe lekin
tum ne kis tarah se bismil ka taDapna dekha
josh-e-wahshat mujhe sahra ki taraf le aaya
aur aage jo baDhe daman-e-dariya dekha
shoKH dil shoKH tabiat ka hai insan 'sanjar'
is ko har-waqt hasinon hi pe shaida dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.