hare-bhare mausam ka manzar suraj ke us par bhi hai
hare-bhare mausam kā manzar sūraj ke us paar bhī hai
bādal dariyā aur samundar sūraj ke us paar bhī hai
ufuq kī us jānib se bhī kuchh shor sunā.ī detā hai
āvāzoñ kā koī lashkar sūraj ke us paar bhī hai
gautam nānak sā.īñ jaise fikr ke logoñ kī ḳhātir
raushan koī dhartī ambar sūraj ke us paar bhī hai
jin kā hai parvāz se rishta aise parindoñ se pūchho
duur kahīñ ik arz-e-munavvar sūraj ke us paar bhī hai
ḳhvāb kī kā.enāt meñ dekhā ham ne kal ye manzar bhī
raushnī dene vaalā patthar sūraj ke us paar bhī hai
añdhiyārā to fikr kā paikar hai sach kī tasvīr nahīñ
tāroñ kī bārāt kā mehvar sūraj ke us paar bhī hai
jīvan kā ye khel tamāsha yahīñ talak hai nahīñ 'mirāq'
ham sab kī ḳhātir koī ghar sūraj ke us paar bhī hai
hare-bhare mausam ka manzar suraj ke us par bhi hai
baadal dariya aur samundar suraj ke us par bhi hai
ufuq ki us jaanib se bhi kuchh shor sunai deta hai
aawazon ka koi lashkar suraj ke us par bhi hai
gautam nanak sain jaise fikr ke logon ki KHatir
raushan koi dharti ambar suraj ke us par bhi hai
jin ka hai parwaz se rishta aise parindon se puchho
dur kahin ek arz-e-munawwar suraj ke us par bhi hai
KHwab ki kaenat mein dekha hum ne kal ye manzar bhi
raushni dene wala patthar suraj ke us par bhi hai
andhiyara to fikr ka paikar hai sach ki taswir nahin
taron ki baraat ka mehwar suraj ke us par bhi hai
jiwan ka ye khel tamasha yahin talak hai nahin 'miraq'
hum sab ki KHatir koi ghar suraj ke us par bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.