hare-bhare use watawaran mein rakkha hai
hare-bhare use vātāvaran meñ rakkhā hai
bahut hasīn hai vo jis ko man meñ rakkhā hai
parā.e des meñ rahte haiñ ik zamāne se
hamārā dil magar ab bhī vatan meñ rakkhā hai
tumhārī yādeñ mire dil meñ aise rahtī haiñ
ki jaise ghī ko kisī ne havan meñ rakkhā hai
batā de is se bhī baḌh kar maqām hai koī
ai merī jaañ tujhe dil ke bhavan meñ rakkhā hai
divāna bazm meñ har shaḳhs ho gayā un kā
na jaane kaun sā jaadū nayan meñ rakkhā hai
bas ek miTTī kā putlā har ek insāñ hai
tū sochtā hai bahut kuchh badan meñ rakkhā hai
na DhūñD ab kisī dil meñ 'sirāj-manzar’ ko
dil-e-'sirāj' to maañ ke charan meñ rakkhā hai
hare-bhare use watawaran mein rakkha hai
bahut hasin hai wo jis ko man mein rakkha hai
parae des mein rahte hain ek zamane se
hamara dil magar ab bhi watan mein rakkha hai
tumhaari yaaden mere dil mein aise rahti hain
ki jaise ghi ko kisi ne hawan mein rakkha hai
bata de is se bhi baDh kar maqam hai koi
ai meri jaan tujhe dil ke bhawan mein rakkha hai
diwana bazm mein har shaKHs ho gaya un ka
na jaane kaun sa jadu nayan mein rakkha hai
bas ek miTTi ka putla har ek insan hai
tu sochta hai bahut kuchh badan mein rakkha hai
na DhunD ab kisi dil mein 'siraj-manzar’ ko
dil-e-'siraj' to man ke charan mein rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.