hare hain zaKHm kuchh is tarah bhi mere sar ke
hare hain zaKHm kuchh is tarah bhi mere sar ke
Nabeel Ahmad Nabeel
MORE BYNabeel Ahmad Nabeel
hare haiñ zaḳhm kuchh is tarah bhī mire sar ke
tamām 'umr uThā.e haiñ naaz patthar ke
lahūluhān huā hai mirā badan yuuñ bhī
pakaḌ na paayā kabhī haath maiñ sitamgar ke
bas ek harf-e-muqarrar ke jurm meñ ham ne
zabāñ pe vaar hazāroñ sahe haiñ ḳhanjar ke
vo log laayā gayā hai jinheñ barābar meñ
kisī tarah bhī nahīñ the mire barābar ke
kuchh aise zaḳhm bhī sar ko jhukā ke khaa.e haiñ
jo mere baḳht ke the aur na the muqaddar ke
yahī utāreñge manzil pe ek din mujh ko
ye jitne zaḳhm haiñ paañv meñ mere Thokar ke
'nabīl' aaj vo sar pe savār haiñ mere
jo log ghar meñ basā.e the maiñ ne bāhar ke
hare hain zaKHm kuchh is tarah bhi mere sar ke
tamam 'umr uThae hain naz patthar ke
lahuluhan hua hai mera badan yun bhi
pakaD na paya kabhi hath main sitamgar ke
bas ek harf-e-muqarrar ke jurm mein hum ne
zaban pe war hazaron sahe hain KHanjar ke
wo log laya gaya hai jinhen barabar mein
kisi tarah bhi nahin the mere barabar ke
kuchh aise zaKHm bhi sar ko jhuka ke khae hain
jo mere baKHt ke the aur na the muqaddar ke
yahi utarenge manzil pe ek din mujh ko
ye jitne zaKHm hain panw mein mere Thokar ke
'nabil' aaj wo sar pe sawar hain mere
jo log ghar mein basae the main ne bahar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.