hare mausam khilenge sona ban ke KHak badlegi
hare mausam khileñge sonā ban ke ḳhaak badlegī
kahāñ tak ye zamīñ āḳhir na.ī poshāk badlegī
hasīñ ma.asūm hoñToñ par mohabbat ke sabaq taaza
kabhī to aadmī kī fitrat-e-chālāk badlegī
ravāñ hai āb-o-ḳhūñ sar pattharoñ ko phoḌne diije
nadī sailāb kī rau meñ ḳhas-o-ḳhāshāk badlegī
salīqa zindagī kī vahshatoñ ko milne vaalā hai
qabā us kī yaqīnan dāman-e-sad-chāk badlegī
chhabaktī shabnamīñ āñkhoñ meñ najm-o-gul ke afsāne
na.ī karvaT abhī shāyad hamārī ḳhaak badlegī
dhule kapḌoñ pe dāġh-e-ḳhushbū rañg-e-zindagī raushan
tirī qurbat se dil kī sar-zamīn-e-pāk badlegī
hare mausam khilenge sona ban ke KHak badlegi
kahan tak ye zamin aaKHir nai poshak badlegi
hasin masum honTon par mohabbat ke sabaq taza
kabhi to aadmi ki fitrat-e-chaalak badlegi
rawan hai aab-o-KHun sar pattharon ko phoDne dije
nadi sailab ki rau mein KHas-o-KHashak badlegi
saliqa zindagi ki wahshaton ko milne wala hai
qaba us ki yaqinan daman-e-sad-chaak badlegi
chhabakti shabnamin aankhon mein najm-o-gul ke afsane
nai karwaT abhi shayad hamari KHak badlegi
dhule kapDon pe dagh-e-KHushbu rang-e-zindagi raushan
teri qurbat se dil ki sar-zamin-e-pak badlegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.