hare shajar na sahi KHushk ghas rahne do
hare shajar na sahī ḳhushk ghaas rahne do
zamīñ ke jism pe koī libās rahne do
maiñ zindagī kī kaḌī dhuup meñ akelā huuñ
fareb-e-abr mire ās-pās rahne do
aziyyateñ hī mohabbat kī ruuh hotī haiñ
mire vajūd meñ itnī sī aas rahne do
koī kiran mirī ummīd kī nahīñ baaqī
mire ḳhayāloñ meñ tasvīr-e-yās rahne do
hamārī pyaas kabhī to koī bujhā.egā
larazte hāthoñ meñ ḳhālī gilās rahne do
maiñ ek gulshan-e-be-rañg huuñ ḳhudā ke liye
mirī fazā meñ umīdoñ kī baas rahne do
hare shajar na sahi KHushk ghas rahne do
zamin ke jism pe koi libas rahne do
main zindagi ki kaDi dhup mein akela hun
fareb-e-abr mere aas-pas rahne do
aziyyaten hi mohabbat ki ruh hoti hain
mere wajud mein itni si aas rahne do
koi kiran meri ummid ki nahin baqi
mere KHayalon mein taswir-e-yas rahne do
hamari pyas kabhi to koi bujhaega
larazte hathon mein KHali gilas rahne do
main ek gulshan-e-be-rang hun KHuda ke liye
meri faza mein umidon ki bas rahne do
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 433)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.