harf dariya hai dil samundar hai
harf dariyā hai dil samundar hai
pyaas phir bhī mirā muqaddar hai
tum kahāñ tak mujhe sañbhāloge
raah meñ har qadam pe Thokar hai
mere aañsū kā ek ik qatra
apnī apnī jagah samundar hai
paañv hai farsh-e-ḳhāk par merā
chashm-e-afkār āsmāñ par hai
dil meñ raushan hai jo charāġh-e-haq
us kā qad chāñd ke barābar hai
lafz kī sādgī hai us kā libās
nudrat-e-fan ġhazal kā zevar hai
saikḌoñ rind is meñ Duub ga.e
kitnā gahrā 'qamar' ye sāġhar hai
harf dariya hai dil samundar hai
pyas phir bhi mera muqaddar hai
tum kahan tak mujhe sanbhaaloge
rah mein har qadam pe Thokar hai
mere aansu ka ek ek qatra
apni apni jagah samundar hai
panw hai farsh-e-KHak par mera
chashm-e-afkar aasman par hai
dil mein raushan hai jo charagh-e-haq
us ka qad chand ke barabar hai
lafz ki sadgi hai us ka libas
nudrat-e-fan ghazal ka zewar hai
saikDon rind is mein Dub gae
kitna gahra 'qamar' ye saghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.