harf-e-ehsas ki tashkil kahan mumkin hai
harf-e-ehsās kī tashkīl kahāñ mumkin hai
mire jazbāt kī tarsīl kahāñ mumkin hai
pahle ik arz-e-tamannā ye bichhe jaate haiñ
ab mire hukm kī ta.amīl kahāñ mumkin hai
tire hote hue mahfil meñ charāġhāñ kyoñ kar
mahr-e-tābāñ ko ye qindīl kahāñ mumkin hai
yād-e-rafta kā ḳhazāna mujhe bhārī hai bahut
hāfize kī na.ī zambīl kahāñ mumkin hai
shāz-o-nādir hī tamannā.eñ javāñ hotī haiñ
har ghaḌī nafs kī tahlīl kahāñ mumkin hai
sochtī rahtī haiñ shab bhar vo sitāra āñkheñ
ḳhvāb-e-girya kī vo takmīl kahāñ mumkin hai
harf-e-ehsas ki tashkil kahan mumkin hai
mere jazbaat ki tarsil kahan mumkin hai
pahle ek arz-e-tamanna ye bichhe jate hain
ab mere hukm ki tamil kahan mumkin hai
tere hote hue mahfil mein charaghan kyon kar
mahr-e-taban ko ye qindil kahan mumkin hai
yaad-e-rafta ka KHazana mujhe bhaari hai bahut
hafize ki nai zambil kahan mumkin hai
shaz-o-nadir hi tamannaen jawan hoti hain
har ghaDi nafs ki tahlil kahan mumkin hai
sochti rahti hain shab bhar wo sitara aankhen
KHwab-e-girya ki wo takmil kahan mumkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.