harf-e-gham uski sada hai shayad
harf-e-ġham us kī sadā hai shāyad
ye vahī naġhma-sarā hai shāyad
yuuñ jo ham ḳhud se ḳhafā baiThe haiñ
ham se vo ruuTh gayā hai shāyad
dhaḌkaneñ dil kī bahut tez huiiñ
us ne kuchh ham se kahā hai shāyad
jo uḌaa.e liye jaatī hai hameñ
us ke kūche kī havā hai shāyad
āsmāñ hai na zamīñ apnī jagah
hādisa koī huā hai shāyad
kyā ujāle meñ nazar aa.e 'nasīm'
vo añdhere kā diyā hai shāyad
harf-e-gham us ki sada hai shayad
ye wahi naghma-sara hai shayad
yun jo hum KHud se KHafa baiThe hain
hum se wo ruTh gaya hai shayad
dhaDkanen dil ki bahut tez huin
us ne kuchh hum se kaha hai shayad
jo uDae liye jati hai hamein
us ke kuche ki hawa hai shayad
aasman hai na zamin apni jagah
hadisa koi hua hai shayad
kya ujale mein nazar aae 'nasim'
wo andhere ka diya hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.