harf-e-ghazal ko dard mein Dhalte hue bhi dekh
Interesting Fact
شکیب جلالی (یکم اکتوبر 1934 ۔ خودکشی : بارہ نومبر 1966) کی یاد میں لکھی گئی یہ غزل۔ اس کی وجہ ایک اور حقیقت ہے۔ شکیب کی خودکشی کی اطلاع جس دن اخبار میں شائع ہوئی تھی، اسی دن ان کی مشہور غزل "مرجھا کے کالی جھیل میں گرتے ہوئے بھی دیکھ" رشید افروز صاحب نے ایک ڈائجسٹ میں پڑھی۔ اور اسی سے متاثر ہو کر فی البدیہ یہ غزل تخلیق ہوئی۔ جو بھوپال سے نکلنے والے رسالہ "مزاج" میں شائع بھی ہوئی۔
harf-e-ġhazal ko dard meñ Dhalte hue bhī dekh
shahr-e-suḳhan kī sham.a pighalte hue bhī dekh
ḳhushbū ke chand phūloñ kī nākām aarzū
shahr-e-vafā kī aag meñ jalte hue bhī dekh
jhulse hue ḳhayāl ke sahrā meñ Duub jā
zarroñ kī tah meñ tishnagī jalte hue bhī dekh
qadmoñ ke ḳhaar bojh the duniyā tire liye
pairoñ baġhair aaj use chalte hue bhī dekh
ma.asūm biivī bachchoñ ke lab kī hañsī ko aaj
ġham kī qabā-e-zard meñ Dhalte hue bhī dekh
dul.han baneñgī bahneñ ye hasrat liye hue
us kā janāza ghar se nikalte hue bhī dekh
harf-e-ghazal ko dard mein Dhalte hue bhi dekh
shahr-e-suKHan ki shama pighalte hue bhi dekh
KHushbu ke chand phulon ki nakaam aarzu
shahr-e-wafa ki aag mein jalte hue bhi dekh
jhulse hue KHayal ke sahra mein Dub ja
zarron ki tah mein tishnagi jalte hue bhi dekh
qadmon ke KHar bojh the duniya tere liye
pairon baghair aaj use chalte hue bhi dekh
masum biwi bachchon ke lab ki hansi ko aaj
gham ki qaba-e-zard mein Dhalte hue bhi dekh
dulhan banengi bahnen ye hasrat liye hue
us ka janaza ghar se nikalte hue bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.