harf-e-muhmal hain kahan wird-e-zaban hote hain
harf-e-muhmal haiñ kahāñ vird-e-zabāñ hote haiñ
ham to bas hasb-e-zarūrat hī bayāñ hote haiñ
din meñ hote haiñ dahakte hue angāroñ se
shaam hotī hai to ham log dhuāñ hote haiñ
ham bhī kyā log haiñ khoī huī manzil ke liye
kisī bhaTkī huī kashtī se ravāñ hote haiñ
ham vo parvarda-e-ālām-e-zamāna haiñ ki jo
sāya-e-gardish-e-daurāñ meñ javāñ hote haiñ
ḳhuld meñ dahr sī lazzat nahīñ milne vaalī
ruuh meñ jism ke āsār kahāñ hote haiñ
ye kharoñcheñ hī to ismat kī dalīleñ haiñ 'safar'
paak jismoñ pe mohabbat ke nishāñ hote haiñ
harf-e-muhmal hain kahan wird-e-zaban hote hain
hum to bas hasb-e-zarurat hi bayan hote hain
din mein hote hain dahakte hue angaron se
sham hoti hai to hum log dhuan hote hain
hum bhi kya log hain khoi hui manzil ke liye
kisi bhaTki hui kashti se rawan hote hain
hum wo parwarda-e-alam-e-zamana hain ki jo
saya-e-gardish-e-dauran mein jawan hote hain
KHuld mein dahr si lazzat nahin milne wali
ruh mein jism ke aasar kahan hote hain
ye kharonchen hi to ismat ki dalilen hain 'safar'
pak jismon pe mohabbat ke nishan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.