harf ko phul banate hue itraati hun
harf ko phuul banāte hue itrātī huuñ
maiñ tujhe apnā batāte hue itrātī huuñ
sāhil-e-vaqt pe chalte hue dekhā tum ne
naqsh-e-pā apne banāte hue itrātī huuñ
hai koī ḳhvābcha kab se mirī uñglī thāme
maiñ use chalnā sikhāte hue itrātī huuñ
utar aatī haiñ mirī chhat pe hañstī rāteñ
aur maiñ chāñd uḌāte hue itrātī huuñ
anginat najm tah-e-jāñ meñ utar aate haiñ
aañkh kī putlī ghumāte hue itrātī huuñ
lahlahātā hai ḳhayāloñ meñ tumhārā chehra
aur maiñ haath lagāte hue itrātī huuñ
dhuup kī barkhā hai ye chhājoñ baras jaatī hai
der tak is meñ nahāte hue itrātī huuñ
kaise gulnār se ho jaate haiñ aariz mere
maiñ tire sāmne aate hue itrātī huuñ
chahchahātī haiñ ḳhayālāt kī chiḌiyāñ 'mahnāz'
dard kī fasl ugāte hue itrātī huuñ
harf ko phul banate hue itraati hun
main tujhe apna batate hue itraati hun
sahil-e-waqt pe chalte hue dekha tum ne
naqsh-e-pa apne banate hue itraati hun
hai koi KHwabcha kab se meri ungli thame
main use chalna sikhate hue itraati hun
utar aati hain meri chhat pe hansti raaten
aur main chand uDate hue itraati hun
anginat najm tah-e-jaan mein utar aate hain
aankh ki putli ghumate hue itraati hun
lahlahata hai KHayalon mein tumhaara chehra
aur main hath lagate hue itraati hun
dhup ki barkha hai ye chhajon baras jati hai
der tak is mein nahate hue itraati hun
kaise gulnar se ho jate hain aariz mere
main tere samne aate hue itraati hun
chahchahati hain KHayalat ki chiDiyan 'mahnaz'
dard ki fasl ugate hue itraati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.