harf mani se juda ho jaise
harf ma.anī se judā ho jaise
zindagī koī sazā ho jaise
ba.ad muddat ke ye mahsūs huā
dard hī dil kī davā ho jaise
aur kyā hogī fazā-e-firdaus
tere kūche kī fazā ho jaise
un nigāhoñ ne jo pursish kī hai
aaj har zaḳhm harā ho jaise
aap se mil ke to kuchh aisā lagā
fāsla aur baḌhā ho jaise
aah kyā umr guzārī ham ne
naqsh ban ban ke miTā ho jaise
kaañp jaatā huuñ uqūbat se 'ziyā'
ab mujhe ḳhauf-e-ḳhudā ho jaise
harf mani se juda ho jaise
zindagi koi saza ho jaise
baad muddat ke ye mahsus hua
dard hi dil ki dawa ho jaise
aur kya hogi faza-e-firdaus
tere kuche ki faza ho jaise
un nigahon ne jo pursish ki hai
aaj har zaKHm hara ho jaise
aap se mil ke to kuchh aisa laga
fasla aur baDha ho jaise
aah kya umr guzari hum ne
naqsh ban ban ke miTa ho jaise
kanp jata hun uqubat se 'ziya'
ab mujhe KHauf-e-KHuda ho jaise
- Book : Shab Charagh (Pg. 107)
- Author : Bakhtiyar Ziya
- Publication : Markaz-e-adab (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.