harf mein KHun-e-jigar kis ka hai
harf meñ ḳhūn-e-jigar kis kā hai
ham se pūchho ye hunar kis kā hai
ajnabī hai na shanāsā koī
ek saaya sā magar kis kā hai
hijr kī shab ko lahū ham ne diyā
ab kaho rañg-e-sahar kis kā hai
ḳhalvat-e-jāñ meñ hai ik halchal sī
us taraf qasd-e-safar kis kā hai
tū agar sāmne maujūd nahīñ
husn tā-hadd-e-nazar kis kā hai
sañg hī sañg haiñ āñgan meñ 'ziyā'
pas-e-dīvār shajar kis kā hai
harf mein KHun-e-jigar kis ka hai
hum se puchho ye hunar kis ka hai
ajnabi hai na shanasa koi
ek saya sa magar kis ka hai
hijr ki shab ko lahu hum ne diya
ab kaho rang-e-sahar kis ka hai
KHalwat-e-jaan mein hai ek halchal si
us taraf qasd-e-safar kis ka hai
tu agar samne maujud nahin
husn ta-hadd-e-nazar kis ka hai
sang hi sang hain aangan mein 'ziya'
pas-e-diwar shajar kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.