harf raushan the numayan dard ki tahrir thi
harf raushan the numāyāñ dard kī tahrīr thī
us kā chehra thā ki mere karb kī tafsīr thī
kuchh mirī āñkhoñ meñ bhī thā Dūbte rañgoñ kā aks
us ghaḌī vo mohnī sūrat bhī kuchh dil-gīr thī
an-ginat hissoñ meñ yuuñ taqsīm ho kar rah ga.ī
zindagī jaise mire ajdād kī jāgīr thī
haath phailā.e khaḌī thī jo bhare bāzār meñ
vo mire iflās kī muñh boltī tasvīr thī
dekhtī thī aane vaalī sub.h-e-nau kā rāsta
muntazir zindān-e-shab meñ duḳhtar-e-kashmīr thī
pūjtī thī har na.ī sūrat ko āvāra nazar
garche paaoñ meñ muqaddas ahd kī zanjīr thī
ik parinda par-shikasta aur suunā rāsta
kis qadar sachchī mire hālāt kī tasvīr thī
harf raushan the numayan dard ki tahrir thi
us ka chehra tha ki mere karb ki tafsir thi
kuchh meri aankhon mein bhi tha Dubte rangon ka aks
us ghaDi wo mohni surat bhi kuchh dil-gir thi
an-ginat hisson mein yun taqsim ho kar rah gai
zindagi jaise mere ajdad ki jagir thi
hath phailae khaDi thi jo bhare bazar mein
wo mere iflas ki munh bolti taswir thi
dekhti thi aane wali subh-e-nau ka rasta
muntazir zindan-e-shab mein duKHtar-e-kashmir thi
pujti thi har nai surat ko aawara nazar
garche paon mein muqaddas ahd ki zanjir thi
ek parinda par-shikasta aur suna rasta
kis qadar sachchi mere haalat ki taswir thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.