Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf shirin hain magar lahja hai nashtar jaisa

Shareef Ahmad Qureshi

harf shirin hain magar lahja hai nashtar jaisa

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    harf shīrīñ haiñ magar lahja hai nashtar jaisā

    vaz.a phūloñ hai kirdār hai patthar jaisā

    jis pe Thahrī hai nazar merī baḌī mushkil se

    kaash andar se bhī vo shaḳhs ho bāhar jaisā

    ruuh meñ ho chukā tahlīl mirā har unsur

    jism kyā hai faqat ik zāhirī paikar jaisā

    narm aisā hai ki milte pighal jaatā hai

    aur chhū liije to ho jaa.e hai patthar jaisā

    tujh meñ nadiyoñ tarah maujeñ na hoñgī ik din

    maiñ bhī ho jā.ūñgā ḳhāmosh samundar jaisā

    laakh jhūTā sahī ma.abūd to ban jaatā hai

    jis taqdīr meñ fankār ho aazar jaisā

    shor nadiyoñ tarah vo kabhī karte nahīñ

    hausla rakhte haiñ jo log samundar jaisā

    vaqt koī ḳhudā us ko jhukā saktā nahīñ

    ḳhuun meñ jis ke ho jauhar koī jauhar jaisā

    harf shirin hain magar lahja hai nashtar jaisa

    waza phulon si hai kirdar hai patthar jaisa

    jis pe Thahri hai nazar meri baDi mushkil se

    kash andar se bhi wo shaKHs ho bahar jaisa

    ruh mein ho chuka tahlil mera har unsur

    jism kya hai faqat ek zahiri paikar jaisa

    narm aisa hai ki milte hi pighal jata hai

    aur chhu lije to ho jae hai patthar jaisa

    tujh mein nadiyon ki tarah maujen na hongi ek din

    main bhi ho jaunga KHamosh samundar jaisa

    lakh jhuTa sahi mabud to ban jata hai

    jis ki taqdir mein fankar ho aazar jaisa

    shor nadiyon ki tarah wo kabhi karte hi nahin

    hausla rakhte hain jo log samundar jaisa

    waqt ka koi KHuda us ko jhuka sakta nahin

    KHun mein jis ke ho jauhar koi jauhar jaisa

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now