harf su-e-lab-e-izhaar nikal hi aaya
harf sū-e-lab-e-iz.hār nikal hī aaya
ḳhāna-e-qaid se ayyār nikal hī aaya
dastakoñ meñ vahī andāz thā vaqfa thā vahī
halqa-e-dard se bīmār nikal hī aaya
pūchhne aaya hai vo āḳhirī ḳhvāhish merī
āḳhirash mauqa-e-iz.hār nikal hī aaya
tang thā lamha-e-ishrat kī rajaz-ḳhvānī se
ġham sañbhāle hue talvār nikal hī aaya
raḳhna-andāz huī shorish-e-zanjīr bahut
phir bhī maiñ toḌ ke dīvār nikal hī aaya
sochte hī nahīñ arbāb-e-junūñ is ke sivā
zikr-e-la.al-e-lab-o-ruḳhsār nikal hī aaya
maiñ na kahtā thā ki ho jā.eñgī āñkheñ patthar
aa.ina jānib-e-bāzār nikal hī aaya
shāḳh-e-gul tak thī ba-zāhir to koī rok na Tok
baḌh ga.e haath to ik ḳhaar nikal hī aaya
harf su-e-lab-e-izhaar nikal hi aaya
KHana-e-qaid se ayyar nikal hi aaya
dastakon mein wahi andaz tha waqfa tha wahi
halqa-e-dard se bimar nikal hi aaya
puchhne aaya hai wo aaKHiri KHwahish meri
aaKHirash mauqa-e-izhaar nikal hi aaya
tang tha lamha-e-ishrat ki rajaz-KHwani se
gham sanbhaale hue talwar nikal hi aaya
raKHna-andaz hui shorish-e-zanjir bahut
phir bhi main toD ke diwar nikal hi aaya
sochte hi nahin arbab-e-junun is ke siwa
zikr-e-lal-e-lab-o-ruKHsar nikal hi aaya
main na kahta tha ki ho jaengi aankhen patthar
aaina jaanib-e-bazar nikal hi aaya
shaKH-e-gul tak thi ba-zahir to koi rok na Tok
baDh gae hath to ek KHar nikal hi aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.