Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf-ta-harf uftad ki shairi

Rakhshanda Naved

harf-ta-harf uftad ki shairi

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    harf-tā-harf uftād shā.irī

    dil ik shahr-e-barbād shā.irī

    kab samundar kināroñ muhtāj hai

    kab dil mauj-e-āzād shā.irī

    bāñsurī madhur lai se bāhar nikal

    sun zarā rūh-e-nāshād shā.irī

    tark hotī nahīñ aisī kuchh ādateñ

    fikr dād-e-havas daad shā.irī

    tauba tauba ki rakkhī hai fōtpath par

    'mīr' sāhab se ustād shā.irī

    karte karte sipurd-e-qalam kar ga.ī

    mujh pe jaadū parī-zād shā.irī

    chashm-e-bārāñ dukh bāñTanā farz hai

    kuchh kareñ abr baad shā.irī

    rabt ke daur meñ ḳhuub likhte the ham

    be-sabab be-maza baad shā.irī

    raat palkoñ meñ 'raḳhshanda' kāTeñge ham

    tā-sahar hogī ab yaad shā.irī

    harf-ta-harf uftad ki shairi

    dil ki ek shahr-e-barbaad ki shairi

    kab samundar kinaron ka muhtaj hai

    kab dil mauj-e-azad ki shairi

    bansuri ki madhur lai se bahar nikal

    sun zara ruh-e-nashad ki shairi

    tark hoti nahin aisi kuchh aadaten

    fikr dad-e-hawas dad ki shairi

    tauba tauba ki rakkhi hai footpath par

    'mir' sahab se ustad ki shairi

    karte karte sipurd-e-qalam kar gai

    mujh pe jadu pari-zad ki shairi

    chashm-e-baran ka dukh banTana farz hai

    kuchh karen abr ki baad ki shairi

    rabt ke daur mein KHub likhte the hum

    be-sabab be-maza baad ki shairi

    raat palkon mein 'raKHshanda' kaTenge hum

    ta-sahar hogi ab yaad ki shairi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now