hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka
hargiz mirā vahshī na huā raam kisī kā
vo sub.h ko hai yaar mirā shaam kisī kā
is hasti-e-mauhūm meñ hargiz na khulī chashm
mālūm kisī ko nahīñ anjām kisī kā
itnā koī kah de ki mirā yaar kahāñ hai
billāh maiñ lene kā nahīñ naam kisī kā
hone de mirā chaak garebāñ mire nāseh
nikle mire hāthoñ se bhalā kaam kisī kā
nāhaq ko 'fuġhāñ' ke ta.iiñ tash.hīr kiyā hai
duniyā meñ na hove koī badnām kisī kā
hargiz mera wahshi na hua ram kisi ka
wo subh ko hai yar mera sham kisi ka
is hasti-e-mauhum mein hargiz na khuli chashm
malum kisi ko nahin anjam kisi ka
itna koi kah de ki mera yar kahan hai
billah main lene ka nahin nam kisi ka
hone de mera chaak gareban mere naseh
nikle mere hathon se bhala kaam kisi ka
nahaq ko 'fughan' ke tain tashhir kiya hai
duniya mein na howe koi badnam kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.