hari thi shaKH to baiTha na us pe panchhi kyun
harī thī shāḳh to baiThā na us pe panchhī kyuuñ
lage hai ujḌe hue ḳhvāb sī ye bastī kyuuñ
mujhe ḳhabar hai mire ghar meñ saañp āñkheñ haiñ
vagarna ġham ke ḳhazīne chhupā ke rakhtī kyuuñ
tumhī se tohmat-e-ālam ko nisbateñ mausūm
tumheñ ko kahte haiñ sab log sab se achchhī kyuuñ
ḳhizāñ ko mere hī ḳhvāboñ ke naam kyuuñ likkhā
zamīñ ne apnī ye daulat mujhī ko sauñpī kyuuñ
mirā vajūd bhī kyā kuchh ḳhudā se miltā hai
savāl-e-shak se hai begāna merī hastī kyuuñ
ye ashk silsila-e-jāñ ke bolte lab haiñ
chhupā ke daulat-e-nāyāb tum ne rakkhī kyuuñ
vajūd apnā kise kab aziiz thā 'nāhīd'
huī hai shaam se pahle hī shaam gahrī kyuuñ
hari thi shaKH to baiTha na us pe panchhi kyun
lage hai ujDe hue KHwab si ye basti kyun
mujhe KHabar hai mere ghar mein sanp aankhen hain
wagarna gham ke KHazine chhupa ke rakhti kyun
tumhi se tohmat-e-alam ko nisbaten mausum
tumhein ko kahte hain sab log sab se achchhi kyun
KHizan ko mere hi KHwabon ke nam kyun likkha
zamin ne apni ye daulat mujhi ko saunpi kyun
mera wajud bhi kya kuchh KHuda se milta hai
sawal-e-shak se hai begana meri hasti kyun
ye ashk silsila-e-jaan ke bolte lab hain
chhupa ke daulat-e-nayab tum ne rakkhi kyun
wajud apna kise kab aziz tha 'nahid'
hui hai sham se pahle hi sham gahri kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.