harif-e-sang hun miTTi se pyar karta hun
harīf-e-sang huuñ miTTī se pyaar kartā huuñ
lahū se apne gulāboñ meñ rang bhartā huuñ
qadam qadam pe tirā intizār kartā huuñ
maiñ zindagī ke tajassus meñ roz martā huuñ
badan ke zaḳhm sadāqat pe merī hañste haiñ
jab aa.ine ke taḳhātub se maiñ guzartā huuñ
mire vajūd se qaa.em hai kā.enāt magar
miTā ke ḳhud ko tujhe bā-vaqār kartā huuñ
na zauq-e-sahrā-navardī na azm-e-ham-safarī
ajiib log haiñ jis shahr se guzartā huuñ
fasād-e-shahr ne parda uThā diyā 'nashtar'
maiñ rahzanoñ se kahāñ rahbaroñ se Dartā huuñ
harif-e-sang hun miTTi se pyar karta hun
lahu se apne gulabon mein rang bharta hun
qadam qadam pe tera intizar karta hun
main zindagi ke tajassus mein roz marta hun
badan ke zaKHm sadaqat pe meri hanste hain
jab aaine ke taKHatub se main guzarta hun
mere wajud se qaem hai kaenat magar
miTa ke KHud ko tujhe ba-waqar karta hun
na zauq-e-sahra-nawardi na azm-e-ham-safari
ajib log hain jis shahr se guzarta hun
fasad-e-shahr ne parda uTha diya 'nashtar'
main rahzanon se kahan rahbaron se Darta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.