Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harif-e-shewa-e-arbab-e-gulsitan na hua

Raz Chandpuri

harif-e-shewa-e-arbab-e-gulsitan na hua

Raz Chandpuri

harīf-e-sheva-e-arbāb-e-gulsitāñ na huā

fareb-ḳhurda-e-rangīnī-e-jahāñ na huā

tamām 'umr rahā maiñ jahāñ se begāna

ḳhudā-gavāh ki shaidā-e-īn-o-āñ na huā

hazār nutq ne dād-e-husn-e-goyā.ī

magar fasāna-e-ulfat kabhī bayāñ na huā

rumūz-o-kuhna-haqīqat se hotā kyā vāqif

vo ḳhud farosh jo apnā bhī rāzdāñ na huā

nigāh-e-sāqī-e-anjām-bīñ ke maiñ qurbāñ

ki utrā nashsha-e-hastī to sargirāñ na huā

hazār rang meñ dekhā nazar-navāz jahāñ

magar maiñ shāhid-e-fitrat se bad-gumāñ na huā

adā kiyā na kabhī 'rāz' shukr-e-goyā.ī

zabāñ-darāz fitrat ham-zabāñ na huā

harif-e-shewa-e-arbab-e-gulsitan na hua

fareb-KHurda-e-rangini-e-jahan na hua

tamam 'umr raha main jahan se begana

KHuda-gawah ki shaida-e-in-o-an na hua

hazar nutq ne di dad-e-husn-e-goyai

magar fasana-e-ulfat kabhi bayan na hua

rumuz-o-kuhna-haqiqat se hota kya waqif

wo KHud farosh jo apna bhi raazdan na hua

nigah-e-saqi-e-anjam-bin ke main qurban

ki utra nashsha-e-hasti to sargiran na hua

hazar rang mein dekha nazar-nawaz jahan

magar main shahid-e-fitrat se bad-guman na hua

ada kiya na kabhi 'raaz' shukr-e-goyai

zaban-daraaz tu fitrat ka ham-zaban na hua

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now