harim-e-dil ki taraf mah-ruKHan nikal aae
harīm-e-dil kī taraf mah-ruḳhāñ nikal aa.e
hazāroñ chāñd sar-e-āsmāñ nikal aa.e
havā.eñ bharne lagīñ ḳhushbūoñ ke paimāne
jo chand phuul sar-e-shāḳh-e-jāñ nikal aa.e
ye ḳhaas baat milī ishq-zād-gāñ meñ hameñ
koī bhī zikr ho zikr-e-butāñ nikal aa.e
na vo zamīn na vo āsmāñ na vo shab-o-roz
ḳhayāl-e-yār ham āḳhir kahāñ nikal aa.e
kabhī kabhī gul-o-bulbul kī guftugū bhī suno
ajab nahīñ koī tarz-e-bayāñ nikal aa.e
kuredī jaa.e jo ḳhāk-e-dayār-e-dil-zadgāñ
navādirāt kā ganj-e-garāñ nikal aa.e
bhaTak rahī hai udāsī hamārī shahr-ba-shahr
kahīñ to kūcha-e-zinda-dilāñ nikal aa.e
dhaḌak rahā thā jo siine kī vus.atoñ meñ kahīñ
us ek zarre meñ kitne jahāñ nikal aa.e
sunā rahā thā maiñ dīvār-o-dar ko apnī ġhazal
magar vahāñ to ka.ī nukta-dāñ nikal aa.e
ḳhayāl zehn se kuchh is tarah nikaltā hai
bujhe charāġh se jaise dhuāñ nikal aa.e
dabā sake na tajassus kī aag ham 'yāvar'
sunā paḌos meñ shor-e-fuġhāñ nikal aa.e
harim-e-dil ki taraf mah-ruKHan nikal aae
hazaron chand sar-e-asman nikal aae
hawaen bharne lagin KHushbuon ke paimane
jo chand phul sar-e-shaKH-e-jaan nikal aae
ye KHas baat mili ishq-zad-gan mein hamein
koi bhi zikr ho zikr-e-butan nikal aae
na wo zamin na wo aasman na wo shab-o-roz
KHayal-e-yar hum aaKHir kahan nikal aae
kabhi kabhi gul-o-bulbul ki guftugu bhi suno
ajab nahin koi tarz-e-bayan nikal aae
kuredi jae jo KHak-e-dayar-e-dil-zadgan
nawadiraat ka ganj-e-garan nikal aae
bhaTak rahi hai udasi hamari shahr-ba-shahr
kahin to kucha-e-zinda-dilan nikal aae
dhaDak raha tha jo sine ki wusaton mein kahin
us ek zarre mein kitne jahan nikal aae
suna raha tha main diwar-o-dar ko apni ghazal
magar wahan to kai nukta-dan nikal aae
KHayal zehn se kuchh is tarah nikalta hai
bujhe charagh se jaise dhuan nikal aae
daba sake na tajassus ki aag hum 'yawar'
suna paDos mein shor-e-fughan nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.