harim-e-dil mein Thahar ya sara-e-jaan mein ruk
harīm-e-dil meñ Thahar yā sarā-e-jān meñ ruk
ye sab makān haiñ tere kisī makān meñ ruk
abhī maiñ joḌ rahā huuñ yaqīn kā pyāla
tū aisā kar ki abhī kāsa-e-gumān meñ ruk
maiñ tujh ko bāñdh luuñ apnī ġhazal ke sheroñ meñ
ḳhayāl-e-yār zarā der mere dhyān meñ ruk
bahut sī qaus-e-quzah ban rahī haiñ āñkhoñ meñ
ai haft-rañg parī merī dāstān meñ ruk
maiñ apne sheroñ kā me.aar kuchh buland karūñ
mire hurūf meñ zam ho mirī zabān meñ ruk
harim-e-dil mein Thahar ya sara-e-jaan mein ruk
ye sab makan hain tere kisi makan mein ruk
abhi main joD raha hun yaqin ka pyala
tu aisa kar ki abhi kasa-e-guman mein ruk
main tujh ko bandh lun apni ghazal ke sheron mein
KHayal-e-yar zara der mere dhyan mein ruk
bahut si qaus-e-quzah ban rahi hain aankhon mein
ai haft-rang pari meri dastan mein ruk
main apne sheron ka mear kuchh buland karun
mere huruf mein zam ho meri zaban mein ruk
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.