harim-e-dil pe Dali thi nazar ek sarsari humne
harīm-e-dil pe Daalī thī nazar ik sarsarī ham ne
javāb-e-barq-e-aiman thī jo dekhī raushnī ham ne
tire ġham kī badaulat yuuñ guzārī zindagī ham ne
uḌaa.ī zindagī bhar har musībat kī hañsī ham ne
kabhī mehr-o-mah-o-anjum ko bhī zulmat-nishāñ paayā
kabhī zarroñ meñ bhī dekhī tajallī tuur kī ham ne
miTā kar imtiyāz-e-rang-o-nasl-o-dīñ zamāne se
kiyā hai kis qadar ūñchā maqām-e-ādmī ham ne
yahāñ maujūd the sarv-o-saman bhī māh-o-anjum bhī
kamī mahsūs kī phir bhī barābar aap kī ham ne
agar rone pe baat aa.ī to hañs kar pī liye aañsū
baḌhā.ī is tarah aksar zamāne kī ḳhushī ham ne
namāz-o-bandagī ke go nahīñ pāband ham lekin
ḳhulūs-e-dil se kī hai jab bhī kī hai bandagī ham ne
nasheman ko lagā dī aag ḳhuud apne hī hāthoñ se
miTā.ī hai chaman kī yuuñ bhī aksar tīrgī ham ne
kisī shai kī nahīñ is meñ kamī yuuñ to magar yā-rab
tirī duniyā meñ paa.ī ek insāñ kī kamī ham ne
luTāyā zindagī sā gauhar-e-nāyāb bhī hañs kar
tirī ḳhātir na kī parvā salīb-o-dār kī ham ne
farozāñ kar ke sham'-e-dil zamāne ko ziyā baḳhshī
miTā.ī is tarah 'sābir' jahāñ se tīrgī ham ne
harim-e-dil pe Dali thi nazar ek sarsari hum ne
jawab-e-barq-e-aiman thi jo dekhi raushni hum ne
tere gham ki badaulat yun guzari zindagi hum ne
uDai zindagi bhar har musibat ki hansi hum ne
kabhi mehr-o-mah-o-anjum ko bhi zulmat-nishan paya
kabhi zarron mein bhi dekhi tajalli tur ki hum ne
miTa kar imtiyaz-e-rang-o-nasl-o-din zamane se
kiya hai kis qadar uncha maqam-e-admi hum ne
yahan maujud the sarw-o-saman bhi mah-o-anjum bhi
kami mahsus ki phir bhi barabar aap ki hum ne
agar rone pe baat aai to hans kar pi liye aansu
baDhai is tarah aksar zamane ki KHushi hum ne
namaz-o-bandagi ke go nahin paband hum lekin
KHulus-e-dil se ki hai jab bhi ki hai bandagi hum ne
nasheman ko laga di aag KHud apne hi hathon se
miTai hai chaman ki yun bhi aksar tirgi hum ne
kisi shai ki nahin is mein kami yun to magar ya-rab
teri duniya mein pai ek insan ki kami hum ne
luTaya zindagi sa gauhar-e-nayab bhi hans kar
teri KHatir na ki parwa salib-o-dar ki hum ne
farozan kar ke sham'-e-dil zamane ko ziya baKHshi
miTai is tarah 'sabir' jahan se tirgi hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.