harim-e-dil se rah-e-chashm-e-tar se guzre hain
harīm-e-dil se rah-e-chashm-e-tar se guzre haiñ
hazār baar vo is rahguzar se guzre haiñ
vo jin ko dekh ke lutf-e-hayāt miltā hai
kuchh aise dushman-e-jāñ bhī nazar se guzre haiñ
ye itr-bār fazā.eñ ye pur-ziyā jaade
batā rahe haiñ abhī vo idhar se guzre haiñ
jo zindagī ko ḳhud apne se bad-gumāñ kar deñ
vo hādse bhī hamārī nazar se guzre haiñ
jo terī yaad kī daulat se be-nasīb rahe
vo lamhe ziist ke nā-mo'tabar se guzre haiñ
jamāl-e-dost bhī mushtāq-e-yak-nazar hai jahāñ
ham us bulandī-e-zauq-e-nazar se guzre haiñ
tumheñ to hogī ḳhabar sākinān-e-dair-o-haram
sunā hai hazrat-e-'maikash' idhar se guzre haiñ
harim-e-dil se rah-e-chashm-e-tar se guzre hain
hazar bar wo is rahguzar se guzre hain
wo jin ko dekh ke lutf-e-hayat milta hai
kuchh aise dushman-e-jaan bhi nazar se guzre hain
ye itr-bar fazaen ye pur-ziya jade
bata rahe hain abhi wo idhar se guzre hain
jo zindagi ko KHud apne se bad-guman kar den
wo hadse bhi hamari nazar se guzre hain
jo teri yaad ki daulat se be-nasib rahe
wo lamhe zist ke na-mo'tabar se guzre hain
jamal-e-dost bhi mushtaq-e-yak-nazar hai jahan
hum us bulandi-e-zauq-e-nazar se guzre hain
tumhein to hogi KHabar sakinan-e-dair-o-haram
suna hai hazrat-e-'maikash' idhar se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.