harim-e-dil se ya arsh-e-barin se
harīm-e-dil se yā arsh-e-barīñ se
tumheñ ham DhūñD lā.eñge kahīñ se
huā marne pe āġhāz-e-mohabbat
shurūa hotā hai ye qissa yahīñ se
bujhe dil kā charāġh ai sham.a-rū aaj
jalā de apne rū-e-ātishīñ se
jo us kī justujū meñ ghar se nikle
to ḳhud kho.e ga.e duniyā-o-dīñ se
mirī taqdīr aisī chāñdnī meñ
jo chamkegī to tum sī mah-jabīñ se
sadā us baam tak ab bhī na pahuñchī
pukār aa.e use arsh-e-barīñ se
falak se pahle hī kūche meñ un ke
nipaT lenā paḌā ham ko zamīñ se
chhupe chorī jo kuchh kartā hai zāhid
khulā raaz us kā us parda-nashīñ se
tirī añgḌā.iyāñ kahtī haiñ mujh se
tujhe kuchh milne vaalā hai kahīñ se
harim-e-dil se ya arsh-e-barin se
tumhein hum DhunD laenge kahin se
hua marne pe aaghaz-e-mohabbat
shurua hota hai ye qissa yahin se
bujhe dil ka charagh ai shama-ru aaj
jala de apne ru-e-atishin se
jo us ki justuju mein ghar se nikle
to KHud khoe gae duniya-o-din se
meri taqdir aisi chandni mein
jo chamkegi to tum si mah-jabin se
sada us baam tak ab bhi na pahunchi
pukar aae use arsh-e-barin se
falak se pahle hi kuche mein un ke
nipaT lena paDa hum ko zamin se
chhupe chori jo kuchh karta hai zahid
khula raaz us ka us parda-nashin se
teri angDaiyan kahti hain mujh se
tujhe kuchh milne wala hai kahin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.